yeh har zarre mein bas jaane ki aadat
theek nahi tumhaari, khatakti si hai…
aaj baarish ka mausam hai yahan,
vasant ritu apne aane ka nagaada
bas peete chali ja rahi hai subah se…
meri khidki ke baahar sab dhundhla
kar rahin hain moti moti boondein…
mujhe keval khayaal aa raha hai
ki tum kaise boondon ka khel sa
banaati ho, unko sheeshe par se
zyada tez behne ko uksaate hue,
bilkul chhote bachchon ki tarah…
baarish ki aawaaz kehte hain sab
ki bahut sukoon deti hai, humesha…
mera baarish ke saath kuch aur hi
puraana sa naata hua karta tha, phir...
ek saawan aaya tha, tumne mujhe
jab jhulsa daala tha apni aawaaz se…
'baavri' ko tab se shaq hai baarish par
kahin 'maahi' ki saazish to nahi yeh?