Wednesday, May 12, 2010

~~~...Some sleep I trade...~~~


Some tiny make-believe castles I made
Are back to haunt me as goodbyes fade.

Silent like the night, startled and afraid,
Some spaces forgotten, your eyes invade.

Two disjointed verses, and a soft serenade
To listen to your voice, some sleep I trade.

Saturday, May 1, 2010

~~~...कुछ लिखते हैं आज...~~~



आसमान पर चलो
कुछ लिखते हैं आज
ख्वाइशों की
स्याही से हम...

थोडा तुम लिखना
थोडा मैं लिखूंगी
शायद कुछ बातें
सुलझा लेंगे...

दे सकेंगे कुछ 
ख़्वाबों को शकल
उड़ते पंछियों से 
भी करेंगे गुफ्तगू...

बावरे कुछ इरादे
'विती' के हैं यह
इनायत लेकिन 
है यह 'नूर' की...

आसमान पर चलो
कुछ लिखते हैं आज...

Tuesday, April 27, 2010

~~~...Sarsari nigaah hi bhali hai...~~~


darakht-e-daraar ki si haalat ho chali hai
nacheez ko ek sarsari nigaah hi bhali hai

aab-o-hawa se na hove guzaara ikhlaas
kami dilsoz ik khanakte saaz ki khali hai

'Noor' tu aashnaa, hai tu kaafir mere liye 
na chahke bhi rooh-e-'Viti' yun hi dhali hai

darakht-e-darrar=tree that grows out of a crack in the pavement/wall
ikhlaas=love/selfless worship
dilsoz=touching/passionate
aashna=friend/lover
kaafir=infidel/sweetheart

Thursday, April 22, 2010

~~~Aahista, zara aahista 'Noor'...~~~


aahista, zara aahista 'Noor'
is aashiq ka kya hai qusoor?

aahista, zara aahista 'Noor'
jaan jayegi, hai yeh ghuroor!

aahista, zara aahista 'Noor'
duniya ka nahi badla dastoor

aahista, zara aahista 'Noor'
'Viti' par chhaya ek hi suroor

aahista, zara aahista 'Noor'
jagao na ye khwaish huzoor

aahista, zara aahista 'Noor'
na karo yun mujhe majboor

Saturday, April 17, 2010

~~~...Main hoti ek taraana...~~~

insaan na hokar 
main hoti ek taraana
tere liye jo likha hota
kisi sayaane shayar ne...


gale se sur bankar shayad
hoothon ko chhua hota...


sureeli aawaaz mein teri 
'Noor,' main goonji hoti...


kaanon mein kisi ke padti
ittefaaqan, to saraahi jaati
aur mehfilon mein bhi
gungunayi jaati kabhi...


baavra sa geet hota woh
mere jaisa hi hota na...


khwaishon se bhara hua
tanha akela bheed mein...


insaan na hokar 
main hoti ek taraana
tere liye jo likha hota
kisi sayaane shayar ne...

Friday, April 16, 2010

~~~...Thodi der panaah de...~~~

mujh baavri ko ab yahan kaun sambhaale
aaja 'Noor' kabhi mujhe tu gale se lagaa le

sadak kinaare padi khwaishein meri, dekh
mohabbat ka meri mujhe kuch to silaa de

sabr ki intehaa to kab ki peeche reh gayii
sukoon bhi kho gaya mera, usse milaa de

tooti si 'Viti,' lekin abhi tamanna hai zinda
kuch der saath chal, thodi der panaah de

Thursday, April 8, 2010

~~~...I will follow...~~~

spread out those wings.
knowing you can fly,
why stop now? 
and for whom?


the sky beckons, love.
we can fly together.
or apart.  your call.
i will follow.


chained to the world,
we forget freedom.
what it is like to
feel the wind.


i want to break free.
you helped me,
to remember.
let us leave.


adventuress are waiting,
for us to find them.
a kind of step to
paradises sweet.


fly with me, my Noor!
you want to, i know.
Viti waits there,
where we met.

Thursday, April 1, 2010

~~~...Aaogi na?...~~~

kisi roz saanjh ke sang tum aaogi
thoda sa mujhe sataogi, sitamgar,
lekin phir baahon mein sama jaogi...


mujhe yakin hai tum aaogi...


aaogi na?



'Noor' ki meharbani raaten hogi roshan
aatishon se jal uthenge khwaab-e-'Viti' 
bas tum aur main, na koi hogi anjuman...

mujhe yakin hai tum aaogi...

aaogi na?



zulfon ki chaanv mein saawan katega
hoothon par chamakti shabnam hogi
khwaishon ka ruka sa dariya bahega...


mujhe yakin hai tum aaogi...


aaogi na?

Tuesday, March 23, 2010

~~~...Baavre khwaab, door kahin...~~~

shaam ki 
narm si god ko 
sirhaana banaakar us roz


maine 
raat ko 
panaah di thi baahon mein


raat si 
hi to hai
tumhaari zulfon ki chhanv


kabhi ulajhte, 
kabhi sulajhte 
baavre khwaab, door kahin...

Friday, March 19, 2010

~~~...Kitni tumhaari, kitni meri...~~~

kaisi deewangi us parinde ki jo udta hi chala jaaye?  
na rukta hai, na hi jaanta hai ki manzil hai kya...



shab bhar zindagi hai,  kitni tumhaari, kitni meri?
dum bhar khamoshi hai, kitni tumhaari, kitni meri?



aaj saath chalo, mere rehnuma, mujhe tum aabaad karo
aagosh mein bhar lo mujhe, dard se aaj tum aazaad karo


ek nakaam si koshish thi tumse juda rehne ki chaaragar
haath thaam lo mera, mere marz ko na yun bezaar karo


duniyadaari se le kar vida yeh carvaan-e-ibaadat chala
logon dua do, koshish hai, ishq ko na sharmsaar karo


fakeer bani firti rahe 'Viti' galiyon mein khwaishon ki
kisi ko bhi de do ilzaam, 'Noor' ko na kusoorwaar karo...