Monday, December 28, 2009

~~~...roothi si ab hun main...~~~

maine chhod di aas ghaflat mein woh zulfen suljhane ki
maine chhod di aas kisi din tumhaare paas aa paane ki
sahi hai baat tumhaari 'Noor' ki sapne dekhna bura nahi
maine chhod di aas lekin roz yun khud ko samjhaane ki...

kabhi dost hun main, aur kabhi main kya jaane aur bhi
'Noor' ko ho gar tamanna, ban jaaye 'Viti' kuch aur bhi
yeh to kismat meri hai, ki hai tumko dekhna munasib
khwaishon ke nahi to bikharte hain jahaan kai aur bhi...

main chalun ya rukun duniya to apni jagah kayam hai
bas yaad rakhna 'Noor,' ki ek 'Viti' tumhaari kayal hai
yeh zamaana nahi maane meri koi baat to gham kya
meri baat chhodo, har ik aashiq hi yahan ghayal hai...

chaahat hai yeh, aafat hai yeh, tooti si ab hun main
har zarra-e-kainaat se kuch to roothi si ab hun main
sab jagah sab taraf hai talaash liya bairi chain ab to
khud se milti hun kahin, lagti jhoothi si ab hun main...

Sunday, December 20, 2009

~~~...us shaam jo ek lat pareshaan si thi...~~~


us shaam jo ek lat pareshaan si thi
jazba-e-ishq ki dagar aasaan si thi


haath utha ke chhoona maine chaha
muddat-e-fursat us roz aasman si thi


tere labon ne kiya tha qaid nazron ko

warna rehguzar meri weeraan si thi


armaan the shokhiyon ke ghulaam
har ik ada aazmaish-e-imaan si thi


woh kashish liye badan tera, zalim
na tod koi, har dawaa hairaan si thi


zillat mein jeena manzoor tha 'Noor'
jiske liye, ye khata wo nihaan si thi


'Viti' ko mauka na de dena tum aisa
ye khata hi uske liye nuksaan si thi


kyun khayaal aisa aaye zehan mein
ki hasrat-e-'Noor' hi aashnaan si thi

Wednesday, December 9, 2009

~~~...Pal guzaar diye...~~~

kisi shab-e-ulfat kuch aansun baha liye
ufaq ke saath baith yunhi kuch pal guzaar diye
abaad ho duniya tumhari, mera kya hai
kuch raaton ki yaadon se humne sapne saja liye
khwaish-e-'Viti' ki ho baat aur na ho maujood 'Noor'
itna bura bhi waqt nahi ki alfaaz bhi chura liye...

Saturday, December 5, 2009

~~~...Jhoom rahi hai...~~~

Mere dil ki galiyon mein tumhari nazm
Kal se dar-ba-dar ghoom rahi hai...
Athkheliyan si khaati, kuch mujhko sataati
Tumhaara hi pata pooch rahi hai...
Kuch khamosh si hai, kehna chahti hai kuch
Sharaarat aankhon mein liye, dekho kaise ghoor rahi hai...
Kuch mujh mein basa liya hai isne khud ko
Mili jab tasalli to yaad aaya ki kuch bhool rahi hai...
Hasrat si hai alfaazon mein liye
Hazaaron khwaaishon ke maze loot rahi hai...
Chaahat-e-'Noor' ki hai mohtaaj jaanti hai
'Viti' ki sheh liye hi to kab se jhoom rahi hai...