Monday, December 28, 2009

~~~...roothi si ab hun main...~~~

maine chhod di aas ghaflat mein woh zulfen suljhane ki
maine chhod di aas kisi din tumhaare paas aa paane ki
sahi hai baat tumhaari 'Noor' ki sapne dekhna bura nahi
maine chhod di aas lekin roz yun khud ko samjhaane ki...

kabhi dost hun main, aur kabhi main kya jaane aur bhi
'Noor' ko ho gar tamanna, ban jaaye 'Viti' kuch aur bhi
yeh to kismat meri hai, ki hai tumko dekhna munasib
khwaishon ke nahi to bikharte hain jahaan kai aur bhi...

main chalun ya rukun duniya to apni jagah kayam hai
bas yaad rakhna 'Noor,' ki ek 'Viti' tumhaari kayal hai
yeh zamaana nahi maane meri koi baat to gham kya
meri baat chhodo, har ik aashiq hi yahan ghayal hai...

chaahat hai yeh, aafat hai yeh, tooti si ab hun main
har zarra-e-kainaat se kuch to roothi si ab hun main
sab jagah sab taraf hai talaash liya bairi chain ab to
khud se milti hun kahin, lagti jhoothi si ab hun main...

Sunday, December 20, 2009

~~~...us shaam jo ek lat pareshaan si thi...~~~


us shaam jo ek lat pareshaan si thi
jazba-e-ishq ki dagar aasaan si thi


haath utha ke chhoona maine chaha
muddat-e-fursat us roz aasman si thi


tere labon ne kiya tha qaid nazron ko

warna rehguzar meri weeraan si thi


armaan the shokhiyon ke ghulaam
har ik ada aazmaish-e-imaan si thi


woh kashish liye badan tera, zalim
na tod koi, har dawaa hairaan si thi


zillat mein jeena manzoor tha 'Noor'
jiske liye, ye khata wo nihaan si thi


'Viti' ko mauka na de dena tum aisa
ye khata hi uske liye nuksaan si thi


kyun khayaal aisa aaye zehan mein
ki hasrat-e-'Noor' hi aashnaan si thi

Wednesday, December 9, 2009

~~~...Pal guzaar diye...~~~

kisi shab-e-ulfat kuch aansun baha liye
ufaq ke saath baith yunhi kuch pal guzaar diye
abaad ho duniya tumhari, mera kya hai
kuch raaton ki yaadon se humne sapne saja liye
khwaish-e-'Viti' ki ho baat aur na ho maujood 'Noor'
itna bura bhi waqt nahi ki alfaaz bhi chura liye...

Saturday, December 5, 2009

~~~...Jhoom rahi hai...~~~

Mere dil ki galiyon mein tumhari nazm
Kal se dar-ba-dar ghoom rahi hai...
Athkheliyan si khaati, kuch mujhko sataati
Tumhaara hi pata pooch rahi hai...
Kuch khamosh si hai, kehna chahti hai kuch
Sharaarat aankhon mein liye, dekho kaise ghoor rahi hai...
Kuch mujh mein basa liya hai isne khud ko
Mili jab tasalli to yaad aaya ki kuch bhool rahi hai...
Hasrat si hai alfaazon mein liye
Hazaaron khwaaishon ke maze loot rahi hai...
Chaahat-e-'Noor' ki hai mohtaaj jaanti hai
'Viti' ki sheh liye hi to kab se jhoom rahi hai...

Sunday, November 29, 2009

~~~...Khuda ko bhula diya...~~~

ik pal mein jeena kya hota hai, tumne ab batla diya
haathon mein leke haath, jeene ka matlab sikhla diya...

main kismat par apni hansun ya roun, kya karun ab
mujhe khayaalon mein le chali aur sachhai se milwa diya...

kuch toota sa hai khud mein aur kuch juda sa bhi lage
'Noor' ko chhookar bhar 'Viti' ne khuda ko bhula diya...

Wednesday, November 18, 2009

~~~...Kuch lafz hain jo...~~~

"nazm uljhi hui hai seene mein...
misre atke hue hain hoothon par...
lafz kaaghaz pe baithte hi nahi...
udte phirte hain titliyon ki tarah...
kabse baitha hua hun main jaanam
saada kaaghaz pe likhkar naam tera...
bas tera naam hi mukkamal hai...
isse behtar bhi nazm kya hogi?" :)

~~gulzaar sahab ki kalam se 




kuch lafz hain jo yunhi udte hue 

utar jaate hain kaaghaz par
hon jaise deewane tumhaare, 

yeh kataar mein khade dekho
likh dete hain daastan, 

kabhi tumhaari adaon ki, to kabhi yeh
ulajhte se hain tumhari zulfon mein, 

kabhi chhookar tumko milta hai chain inhe,
kabhi bechain se rehte hain intezaar mein...

kuch lafz hain jo yunhi udte hue 

utar jaate hain kaaghaz par
kabhi tumhaari nazron mein khokar, 

kabhi ho fursat jo,
to raat bhar tumhe dekhkar, 
lutaate hain sukoon apna aur chahte hain 
ho jaana fanaa tumhare narm hoothon par
inki tamanna ho tum, aur 

inki khwaish bhi tum hi ho...

kuch lafz hain jo yunhi udte hue 

utar jaate hain kaaghaz par
bhar deti ho rang tum in sab mein satrangi, 

khil uthte hain yeh tumhare paas baithen 
to nahi bachti koi aarzoo adhoori inki
aur gar na pahunch paayen 
tumhaare dil tak to zindagi kya,
maut kya, aur kya hai paana

aur kya khona is jahaan mein...

kuch lafz hain jo yunhi udte hue 

utar jaate hain kaaghaz par...

Sunday, November 15, 2009

Interesting picture series #12


A band called the bobbleheads...so far have released one song, and maybe planning more...I am honored to be their official photographer :D
here is a link to the first song's video:

~~~...Phir se...~~~

meri baahon mein aake simat ja phir se
sookhe patte si tu aa bikhar ja 
phir se

jismein shikan hai ab bhi us raat ke
usi chadar mein aa lipat ja 
phir se

ji uthunga, uth jaunga gehri neend 
se
pehle jaisi mujhpar bifar ja 
phir se

bura na lage gar, choti si guzarish hai
choone pe mere ek baar 
 sihar ja phir se

padhke kho jaun tere haath 
se likha hua
chori 
se haath mein payaam de ja phir se

'Viti' ko rahi na aur khwaish koi 'Noor'
kuch adhoore khwaab mere tatol ja 
phir se....

Friday, November 13, 2009

Tuesday, November 10, 2009

~~~...Kuch armaan honge...~~~


us jahaan mein jahan naa koi hum par jafaa honge
mohabbat ke gulistaan aur ulfat ke makaan honge


khwaishon ka kaafila hoga, hum par sabki nigahen
choti si is duniyaa ke, hum hi to baghbaan honge


naa hogi killat pyaar jataane mein, na gumaan tujhe
kab ho aisa, teri zulfon ke jab hum aashnaa honge


hain aaj hum nazron mein teri dost, aur kuch nahi
us aalam mein dil bhi to bebaak, yak zubaan honge


ibaadat-e-'Noor' to 'Viti' ki aadat si ho chali huzoor
darr lage unse, jo khoye sareraah, kuch armaan honge...

Sunday, November 8, 2009

~~~...Taraana de diya...~~~


aankhon mein ik maykhaana de diya 
beghar ko ik naya thikaana de diya 
chaahat ki ye aarzoo aayi kahan se
besabr khwaishon ko aashiyana de diya
kore kaaghaz par kuch lakeeren thi
unhe nazm kehne ka bahaana de diya
bheed mein gum jaana tha 'Viti' ko to
'Noor' ne lekin hasin weeraana de diya
sunsaan, anjaan, gumnaam thi hasti
chhupchaap zubaan ko taraana de diya...

Saturday, November 7, 2009

Wednesday, November 4, 2009

~~~...Hazaaron khwaishein sameta karun...~~~


Tere khayaal se jo chhaa jaati hai
Us bekhudi ko kaise bayan karun
Tu mil jaaye sar-e-raah mujhe
Hazaaron khwaishein sameta karun


Aadhi adhoori si tasveer samne mere
Teri kami 'Noor,' jannat ise ayan karun
Har ek baat soch kar bolna tere saamne
Kaise yeh doori door darmiyan karun


'Viti' na jaane duniya ke dastoor, han
Daawa yahi, pal dar pal, sadiyan karun
Teri chilman ke paar aa sakun kabhi to
Ho jaun nisaar ya raatein giriya karun...

Tuesday, November 3, 2009

interesting picture series #6



the tree climber :D

~~~...Le chal kahin...~~~

Apne sang mujhe le chal kahin
Udenge falak mein, le chal kahin

Yeh jahan ab na raha mera yaar
Shorgul se duur mujhe le chal kahin

Bandagi mein khoya khud ko maine
Tujhe dekhe nazar jahan, le chal kahin

Maine to roz ki khwaish, teri panahon ki
Khwaab sach hon mere, le chal kahin



Apne sang mujhe le chal kahin
Udenge falak mein, le chal kahin...

Monday, November 2, 2009

Interesting picture series #5






pensive...

~~~...Ab kahan jaati ho...~~~

meri duniya mehka ke ab kahan jaati ho?
mere itne kareeb aake ab kahan jaati ho?
chahat ki sehar hai par shaam ka na pata
mujhe 'Noor' se milake ab kahan jaati ho?

dil ko yun bebas na karo, toot jaayega ye
mujhe pyaar se sulaake ab kahan jaati ho?
lamhe judaai ke to guzaar diye kisi tarah
mili to nazren jhukaake ab kahan jaati ho?

'Viti' ko pata nahin ki kya sahi, kya galat
roz tum mujhe tadpake ab kahan jaati ho?
ek jhooth hi keh do ki ishq hai tumhe bhi
itni khwaishein jagaake ab kahan jaati ho?

Saturday, October 31, 2009

~~~...Tum ho saahil samjho...~~~

meri baaton se kuch samjho to yeh samjho
mujhe apni adaon ka bas ik aashiq samjho

ek lat tumhare rukh pe bhikhar jaaye kabhi
sujha dene ke mujhe kabhi to kabil samjho

mujhe talaash hai rehti har subah-o-shaam,
nigaah-e-'Noor' ka mujhe tum kayal samjho

main dariya hun, dhoondhun manzil, jismein
khwaish khone ki hai, tum ho saahil samjho

zindagi 'Viti' guzaare bandagi mein, hai dua
tumko khuda kehne ke mujhe layak samjho...

Interesting picture series #3



this one is simply...wild :D

Friday, October 30, 2009

~~~...Jab baarish rukne ka naam na le...~~~

kisi geele se din, jab baarish rukne ka naam na le...

kisi geele se din, jab baarish rukne ka naam na le
jab sadkon par paani bhara ho, sab ruka sa rahe
jab badlon ki gadgadahat reh reh ke deti rahe sunai
jab andhera sa chhaya ho, bachche khelte dikhen
jab mendhak aasman sar pe utha len chillaate hue
jab thandak si ho mausam mein, suhana sa sama...

kisi khidki ke paas 'Noor,' ho tum baithi socho us din
aur kismat ho meri ki tumhe thaame baahen meri hon...

kisi geele se din, jab baarish rukne ka naam na le...

One interesting picture per day series :) #2



I like to call this one "lost and found" :)

Thursday, October 29, 2009

~~~...Aag lagi thi...~~~


kuch log bata rahe hain, ek dil jala tha...
kya tumne suna, kal yahan aag lagi thi?

bheed si lagi hai aaj, hai bhaga-daudi si...
kya tumne suna, kal yahan aag lagi thi?

kyun faili lapten, koi nahi jaanta abhi tak...
kya tumne suna, kal yahan aag lagi thi?

pata nahi tha koi aashiq, ya deewani koi...
kya tumne suna, kal yahan aag lagi thi?

dhuan sa uthtaa dikh to raha hai mujhe...
kya tumne suna, kal yahan aag lagi thi?

garm hawa ka jhonka uda raha hai gesu...
kya tumne suna, kal yahan aag lagi thi?

ab kisi ki khwaishon ka janazaa niklega...
kya tumne suna, kal yahan aag lagi thi?

ek tees si uth rahi hai mann mein mere...
kya tumne suna, kal yahan aag lagi thi?

darr lagta hai ki kal ye haalat meri na ho...
kya tumne suna, kal yahan aag lagi thi?

kya tumne suna....

aag lagi thi...

As promised...a little poetry to accompany pictures :)

Little hope and such...

I walked lone
On that path
Just me and

Some music.

Leaves rustling
Breeze flowing
Moon shining
Just me and

My thoughts.

My thoughts
Stopped at
One face
Made me
Think of
Noor.

I sighed aloud
Thought it out
Soon I knew
Its not true!
Can't hide
Can't run
Help.

Might be able
To pretend a
Fake accent
Fake smile
Fake glee
But not
A fake
Life.

Set me free
Let me go
I need to
Scream
Dream
Hate
Fate
And
Fly.

Look at me
Watch me
Love me
When I
Break
Down
And
Cry.

Many desires
Many loves
Many lives
So many.
I'm lost
Looking
For you.

Glimpse of smile
Desire of touch
Stay awhile
As I clutch
Little hope

And such.

The path ended
The thoughts
Kept coming
Right back
Stop.

Still walking lone
Like a leaf blown
Uttering a moan,
Slow, monotone.

I ask nothing
Yet I plea
Disagree.

Not satisfied yet
I want more.

I want to...

Explore.

Implore.

Adore.

One interesting picture per day series :) #1

I decided to post a picture a day on this blog. Will pepper it up with occasional poetry. So here is today's pic...its from the cherry blossom festival in Washington DC last spring :)





Wednesday, October 28, 2009

~~~...Mukammal kar do...~~~

...baithe baithe kaise kaise rog lagaye...dil ne humaare...

mujhe le chalo wahan 'Noor' jahan tumhe ho milta sukoon aur chain...
main bas chahun rehna wahan jahan katra katra tumhari muskurahat chhalke...
tum chaho to mujhe apna na kehna, aur na main jataungi koi haq tum par...
kabhi barbas hi tum chhoo lo, fakat kaafi hoga is tadapti rooh ke liye...
kuch pyaas bujhe to, kuch aasman jhuke to, haath to aaye kabhi mere...
phir bhale hi tum ho jao kisi aur ki tamanna, kisi aur ki aarzoo, beshak...
mere paas kuch pal ka saath ho bas, yaad rakhne ko tumhari aawaaz ho bas...
yeh khwaish-e-'Viti' tum poori kar do, meri jannat kaash yun tum mukammal kar do...