Thursday, June 16, 2011

:)

Door rehkar itna sataya na karo
Din mein khwaab dikhaya na karo
Mere zehan mein is kadar basi ho
Judai ke khayaal se daraya na karo
Inteha se aage ja chuki hai chaahat
Mohabbat ke naye andaaz sikhaya na karo
Pighal ke kabhi dil gir jayega zamin par
Meri baaton se yun sharmaya na karo
Ki nahi rehta kaabu ab dil par
Apni haalat mujhe bataya na karo
Waqt-bewaqt khumaari ka aalam
Aisi baatein 'Viti' se bulwaya na karo...

Monday, June 13, 2011

~~~...the rains...~~~

sunehri shaam, sunehra badan,
baadalon mein zulfon ki badliyan...
shayar ko is mausam ne kahin ka nahin chhoda!

******

nazm tumhaari zulfon mein kuch ulajh si gayi hai,
guftagu se lagta hai lekin qayenaat kuch sulajh si gayi hai...

******

monsoon ki pehli baarish mein bheegna,
kuch sulag jao to phir mujhe yaad karna...
pata hai?  woh baadal maine hi bheja tha.