Monday, December 17, 2012

Happy Birthday, Maahi!

kaaghaz par qalam ke utarne ki der thi
tumhaari daastan to ungliyon par dekho
naachti hai meri, thoda itraati si, ithlaati...

likha nahi kuch, bahut waqt beet gaya
aaj tumne majboor kiya hai lautne ko

vohrvod mubarak, meri jaan, maahi...


khuda se shikayatein to waise bahut hain,
sabse badi yeh, ki tumse pehle mulaqaat
kabhi karayi nahi usne meri, jaane kyun!


maine to band kar diye the sab darwaaze,
achanak ik dastak se hil gayin deewarein...

is waqt, jab waqt ne bhi saath chhoda,
kaun hai, jisne meri taraf munh moda?

"main maahi!  tum pasand aa gayi ho,
chalo, main tumhe tumse milwa laun!"

mujhe mujhse milwaana? "kaise yeh hai
tumne jaana, ki kho gayi hai meri raah?"

"khud ki shakl ka jo mil jaaye koi kahin,
aisi baatein tab poocha nahi karte, chalo!"

zindagi bhar mein jo ek nek kaam kiya 
'baavri' ne 'maahi' ka kaha maan liya!