khwaab, khayaal, khwaishein
haseen lafz hain yeh bahut hi...
inki pehchaan jise ho jaaye
inse door nahi ja paata phir...
aashiq, aawaara, aatishan sab
dhoondhte phirte hain sabab,
in ajeeb-o-ghareeb ehsaason
ki teh tak jaa kar, zindagi ka...
uljhane suljhaane, mitaane ka,
zamaane ke ghamon ko fakat
bhool jaane ka, ek zariya hain,
khwaab, khayaal, khwaishein...
socho to kya kuch nahi dikha
sakte hain khwaab neend mein,
khwaishein jagati hain rooh ko,
khyaal zinda rakhte hain humein...
inki pehchaan jise ho jaaye
inse door nahi ja paata phir...
khwaab, khayaal, khwaishein
haseen lafz hain ye bahut hi...
haseen lafz hain yeh bahut hi...
inki pehchaan jise ho jaaye
inse door nahi ja paata phir...
aashiq, aawaara, aatishan sab
dhoondhte phirte hain sabab,
in ajeeb-o-ghareeb ehsaason
ki teh tak jaa kar, zindagi ka...
uljhane suljhaane, mitaane ka,
zamaane ke ghamon ko fakat
bhool jaane ka, ek zariya hain,
khwaab, khayaal, khwaishein...
socho to kya kuch nahi dikha
sakte hain khwaab neend mein,
khwaishein jagati hain rooh ko,
khyaal zinda rakhte hain humein...
inki pehchaan jise ho jaaye
inse door nahi ja paata phir...
khwaab, khayaal, khwaishein
haseen lafz hain ye bahut hi...