Friday, March 23, 2012

~~~... khwaab, khayaal, khwaishein ...~~~

khwaab, khayaal, khwaishein
haseen lafz hain yeh bahut hi...

inki pehchaan jise ho jaaye
inse door nahi ja paata phir...

aashiq, aawaara, aatishan sab
dhoondhte phirte hain sabab,
in ajeeb-o-ghareeb ehsaason
ki teh tak jaa kar, zindagi ka...

uljhane suljhaane, mitaane ka,
zamaane ke ghamon ko fakat
bhool jaane ka, ek zariya hain,
khwaab, khayaal, khwaishein...

socho to kya kuch nahi dikha
sakte hain khwaab neend mein,
khwaishein jagati hain rooh ko,
khyaal zinda rakhte hain humein...

inki pehchaan jise ho jaaye
inse door nahi ja paata phir...

khwaab, khayaal, khwaishein
haseen lafz hain ye bahut hi...

9 comments:

  1. Nice!
    Loved the way it is written!

    ReplyDelete
  2. Wonderful Words..!! How can be u so perfect in so many things?

    ReplyDelete
  3. superb work! true words there! :)

    ReplyDelete
  4. Mera Khwaab hi mere Khyaalon mein rehta hai ,yeh khwaab kisi aur ne diya tha,par ab yeh meri khwaish hi nahi meri zarurat ban gaya hai..........Baavri very well written and love your 3 Ks :)

    ReplyDelete
  5. You can use Outlook 2010, through a rich set of features and custom communication with one or more recipients.With the release of Outlook 2010 download, you get a richer experience to meet your communication needs at work, home and school.

    ReplyDelete
  6. tere kuch lafzon ne mujhe kuch phir se zinda kiya
    ke mere khwaab khayaal aur khwaishein mar rahe the kahin


    thank you so much for writing this.

    ReplyDelete
  7. Thank you, all very comprehensive and clear explanation, so I am suggested some Free instant Approval Article Directory click2article.com, click2article.info and click4article.com It is a great way to increase traffic to your website & blog as well as to improve page rank due to the built up backlinks.

    ReplyDelete