Friday, February 14, 2014

Shabdon se pare hai...



Tum ko kavita mein utaarna aasaan nahi.
Kitni hi baar pannon mein sametna chaaha
Tum samaati hi nahi ho sarhadon mein,
Humesha ufanti ho nadiyon ki tarah...


Tumko nazm mein rijhaana chaaha
Aur nazm ne bhi haath khade kar diye.
Boli, mere bas ka nahi hai kaam yeh...
Shabdon se pare hai 'Maahi' tumhaari


Achcha chalo, triveni bhi aazma lein…
Lekin yeh kya? Woh to paas bhi na aaye!
Kahe, arre siyaahi mein dhaal to dogi,
Par shakl kaise laogi uski tum, 'baavri'?


Tum lafzon se aage ho, aur khayaal se
Ehsaas ho tum, yaad dilaati ho mujhe
Ki zindagi kya hai, aur kitni khoobsoorat!
Meri kalam tumhe likhne ke kaabil nahi...

2 comments: