Wednesday, November 18, 2009

~~~...Kuch lafz hain jo...~~~

"nazm uljhi hui hai seene mein...
misre atke hue hain hoothon par...
lafz kaaghaz pe baithte hi nahi...
udte phirte hain titliyon ki tarah...
kabse baitha hua hun main jaanam
saada kaaghaz pe likhkar naam tera...
bas tera naam hi mukkamal hai...
isse behtar bhi nazm kya hogi?" :)

~~gulzaar sahab ki kalam se 




kuch lafz hain jo yunhi udte hue 

utar jaate hain kaaghaz par
hon jaise deewane tumhaare, 

yeh kataar mein khade dekho
likh dete hain daastan, 

kabhi tumhaari adaon ki, to kabhi yeh
ulajhte se hain tumhari zulfon mein, 

kabhi chhookar tumko milta hai chain inhe,
kabhi bechain se rehte hain intezaar mein...

kuch lafz hain jo yunhi udte hue 

utar jaate hain kaaghaz par
kabhi tumhaari nazron mein khokar, 

kabhi ho fursat jo,
to raat bhar tumhe dekhkar, 
lutaate hain sukoon apna aur chahte hain 
ho jaana fanaa tumhare narm hoothon par
inki tamanna ho tum, aur 

inki khwaish bhi tum hi ho...

kuch lafz hain jo yunhi udte hue 

utar jaate hain kaaghaz par
bhar deti ho rang tum in sab mein satrangi, 

khil uthte hain yeh tumhare paas baithen 
to nahi bachti koi aarzoo adhoori inki
aur gar na pahunch paayen 
tumhaare dil tak to zindagi kya,
maut kya, aur kya hai paana

aur kya khona is jahaan mein...

kuch lafz hain jo yunhi udte hue 

utar jaate hain kaaghaz par...

2 comments:

  1. kya kahoon kaise kahoon
    lafz bachte nahi hain mere paas
    kis tarah se doon daad , dil ke paas alfaaz adhoore hain
    ...sab jo ud kar tumhare paas kaagaz mein uttar aaye hain!

    ReplyDelete
  2. yeh keh kar bhi ki kuch nahi kehne ko kitna kuch keh diya :D

    shukriya :)

    ReplyDelete