Sunday, November 29, 2009

~~~...Khuda ko bhula diya...~~~

ik pal mein jeena kya hota hai, tumne ab batla diya
haathon mein leke haath, jeene ka matlab sikhla diya...

main kismat par apni hansun ya roun, kya karun ab
mujhe khayaalon mein le chali aur sachhai se milwa diya...

kuch toota sa hai khud mein aur kuch juda sa bhi lage
'Noor' ko chhookar bhar 'Viti' ne khuda ko bhula diya...

Wednesday, November 18, 2009

~~~...Kuch lafz hain jo...~~~

"nazm uljhi hui hai seene mein...
misre atke hue hain hoothon par...
lafz kaaghaz pe baithte hi nahi...
udte phirte hain titliyon ki tarah...
kabse baitha hua hun main jaanam
saada kaaghaz pe likhkar naam tera...
bas tera naam hi mukkamal hai...
isse behtar bhi nazm kya hogi?" :)

~~gulzaar sahab ki kalam se 




kuch lafz hain jo yunhi udte hue 

utar jaate hain kaaghaz par
hon jaise deewane tumhaare, 

yeh kataar mein khade dekho
likh dete hain daastan, 

kabhi tumhaari adaon ki, to kabhi yeh
ulajhte se hain tumhari zulfon mein, 

kabhi chhookar tumko milta hai chain inhe,
kabhi bechain se rehte hain intezaar mein...

kuch lafz hain jo yunhi udte hue 

utar jaate hain kaaghaz par
kabhi tumhaari nazron mein khokar, 

kabhi ho fursat jo,
to raat bhar tumhe dekhkar, 
lutaate hain sukoon apna aur chahte hain 
ho jaana fanaa tumhare narm hoothon par
inki tamanna ho tum, aur 

inki khwaish bhi tum hi ho...

kuch lafz hain jo yunhi udte hue 

utar jaate hain kaaghaz par
bhar deti ho rang tum in sab mein satrangi, 

khil uthte hain yeh tumhare paas baithen 
to nahi bachti koi aarzoo adhoori inki
aur gar na pahunch paayen 
tumhaare dil tak to zindagi kya,
maut kya, aur kya hai paana

aur kya khona is jahaan mein...

kuch lafz hain jo yunhi udte hue 

utar jaate hain kaaghaz par...

Sunday, November 15, 2009

Interesting picture series #12


A band called the bobbleheads...so far have released one song, and maybe planning more...I am honored to be their official photographer :D
here is a link to the first song's video:

~~~...Phir se...~~~

meri baahon mein aake simat ja phir se
sookhe patte si tu aa bikhar ja 
phir se

jismein shikan hai ab bhi us raat ke
usi chadar mein aa lipat ja 
phir se

ji uthunga, uth jaunga gehri neend 
se
pehle jaisi mujhpar bifar ja 
phir se

bura na lage gar, choti si guzarish hai
choone pe mere ek baar 
 sihar ja phir se

padhke kho jaun tere haath 
se likha hua
chori 
se haath mein payaam de ja phir se

'Viti' ko rahi na aur khwaish koi 'Noor'
kuch adhoore khwaab mere tatol ja 
phir se....

Friday, November 13, 2009

Tuesday, November 10, 2009

~~~...Kuch armaan honge...~~~


us jahaan mein jahan naa koi hum par jafaa honge
mohabbat ke gulistaan aur ulfat ke makaan honge


khwaishon ka kaafila hoga, hum par sabki nigahen
choti si is duniyaa ke, hum hi to baghbaan honge


naa hogi killat pyaar jataane mein, na gumaan tujhe
kab ho aisa, teri zulfon ke jab hum aashnaa honge


hain aaj hum nazron mein teri dost, aur kuch nahi
us aalam mein dil bhi to bebaak, yak zubaan honge


ibaadat-e-'Noor' to 'Viti' ki aadat si ho chali huzoor
darr lage unse, jo khoye sareraah, kuch armaan honge...

Sunday, November 8, 2009

~~~...Taraana de diya...~~~


aankhon mein ik maykhaana de diya 
beghar ko ik naya thikaana de diya 
chaahat ki ye aarzoo aayi kahan se
besabr khwaishon ko aashiyana de diya
kore kaaghaz par kuch lakeeren thi
unhe nazm kehne ka bahaana de diya
bheed mein gum jaana tha 'Viti' ko to
'Noor' ne lekin hasin weeraana de diya
sunsaan, anjaan, gumnaam thi hasti
chhupchaap zubaan ko taraana de diya...

Saturday, November 7, 2009

Wednesday, November 4, 2009

~~~...Hazaaron khwaishein sameta karun...~~~


Tere khayaal se jo chhaa jaati hai
Us bekhudi ko kaise bayan karun
Tu mil jaaye sar-e-raah mujhe
Hazaaron khwaishein sameta karun


Aadhi adhoori si tasveer samne mere
Teri kami 'Noor,' jannat ise ayan karun
Har ek baat soch kar bolna tere saamne
Kaise yeh doori door darmiyan karun


'Viti' na jaane duniya ke dastoor, han
Daawa yahi, pal dar pal, sadiyan karun
Teri chilman ke paar aa sakun kabhi to
Ho jaun nisaar ya raatein giriya karun...

Tuesday, November 3, 2009

interesting picture series #6



the tree climber :D

~~~...Le chal kahin...~~~

Apne sang mujhe le chal kahin
Udenge falak mein, le chal kahin

Yeh jahan ab na raha mera yaar
Shorgul se duur mujhe le chal kahin

Bandagi mein khoya khud ko maine
Tujhe dekhe nazar jahan, le chal kahin

Maine to roz ki khwaish, teri panahon ki
Khwaab sach hon mere, le chal kahin



Apne sang mujhe le chal kahin
Udenge falak mein, le chal kahin...

Monday, November 2, 2009

Interesting picture series #5






pensive...

~~~...Ab kahan jaati ho...~~~

meri duniya mehka ke ab kahan jaati ho?
mere itne kareeb aake ab kahan jaati ho?
chahat ki sehar hai par shaam ka na pata
mujhe 'Noor' se milake ab kahan jaati ho?

dil ko yun bebas na karo, toot jaayega ye
mujhe pyaar se sulaake ab kahan jaati ho?
lamhe judaai ke to guzaar diye kisi tarah
mili to nazren jhukaake ab kahan jaati ho?

'Viti' ko pata nahin ki kya sahi, kya galat
roz tum mujhe tadpake ab kahan jaati ho?
ek jhooth hi keh do ki ishq hai tumhe bhi
itni khwaishein jagaake ab kahan jaati ho?