Tuesday, March 23, 2010

~~~...Baavre khwaab, door kahin...~~~

shaam ki 
narm si god ko 
sirhaana banaakar us roz


maine 
raat ko 
panaah di thi baahon mein


raat si 
hi to hai
tumhaari zulfon ki chhanv


kabhi ulajhte, 
kabhi sulajhte 
baavre khwaab, door kahin...

Friday, March 19, 2010

~~~...Kitni tumhaari, kitni meri...~~~

kaisi deewangi us parinde ki jo udta hi chala jaaye?  
na rukta hai, na hi jaanta hai ki manzil hai kya...



shab bhar zindagi hai,  kitni tumhaari, kitni meri?
dum bhar khamoshi hai, kitni tumhaari, kitni meri?



aaj saath chalo, mere rehnuma, mujhe tum aabaad karo
aagosh mein bhar lo mujhe, dard se aaj tum aazaad karo


ek nakaam si koshish thi tumse juda rehne ki chaaragar
haath thaam lo mera, mere marz ko na yun bezaar karo


duniyadaari se le kar vida yeh carvaan-e-ibaadat chala
logon dua do, koshish hai, ishq ko na sharmsaar karo


fakeer bani firti rahe 'Viti' galiyon mein khwaishon ki
kisi ko bhi de do ilzaam, 'Noor' ko na kusoorwaar karo...

Monday, March 15, 2010

~~~...I will smile with you...~~~

I'll forget you and move on.
Who am I kidding, really?


There are some people, love.
They just don't leave. Ever.


Broken though, I did leave.
I turned and walked a while.


All ties seemed cut and torn.
Then you called, and I came.


It did happen. Twice, it did.
You will never let me fade.


Knowing that you love me,
I will smile with you, 'Noor.'


Walking towards the sunset,
I'll have your hand, one day.

Friday, March 12, 2010

~~~...Khat mein tumhaara naam...~~~

cheer-phaad kuch sapnon ki kal kari thi
kuch puraane bhoole khat khol liye the...

barasti boondon ki thap-thap ke beech
meethi si, sureeli si, ek aawaaz goonji
sar utha ke dekha to meri tanhai dikhi
use maine shakal di, tamanna-e-'Noor'
us se dillagi karke sukoon paya thoda...

garje baadal, baarish aur tez ho chali...
leti thi mere kareeb tanhai, ik tees uthi...

kabhi tum bhi thi usi jagah, ab hai woh
ho na jaise lamha, balki poori zindagi...
main kab talak usi manzar mein jiyun
ye sochkar, haath tumhaara hai wahin?
thehra sa mere haath mein abhi bhi...

us khat mein tumhaara naam likha tha
maine apne haath likha tha, bheja nahi...

Tuesday, March 9, 2010

~~~...Milti hai...~~~

gham mein dard nahi milta ab
meethi si ik rukawat milti hai..
teri yaadon mein khokar mere
labon ko muskurahat milti hai..

ek arse se tadap thi rooh mein,
ab halki si sarsarahat milti hai..
dillagi thi, ab dilruba hai 'Viti',
katron mein shararat milti hai..

aahon se naseeb khulte kaash,
tooti si bas nazaakat milti hai..
aas panaah-e-'Noor' ki, lekin
kismat ki baghaawat milti hai..