darakht-e-daraar ki si haalat ho chali hai
nacheez ko ek sarsari nigaah hi bhali hai
aab-o-hawa se na hove guzaara ikhlaas
kami dilsoz ik khanakte saaz ki khali hai
'Noor' tu aashnaa, hai tu kaafir mere liye
na chahke bhi rooh-e-'Viti' yun hi dhali hai
darakht-e-darrar=tree that grows out of a crack in the pavement/wall
ikhlaas=love/selfless worship
dilsoz=touching/passionate
aashna=friend/lover
kaafir=infidel/sweetheart