phir kya aarzoo aur kya khwaishein...kya tamanna aur kya guftagu...
par afsaana-e-baavri thehra...itni aasani se kaise nipte
'noor' ki bhi khwaishein hain jinmein kahin 'viti' ka zikr nahi
chahat-e-viti rahe latakti, kya farak padta hai
sach mein, kya farak padta hai
ek aur kissa jud jayega daastaanon ki pherist mein
kuch aur log padh lenge aur muskura denge
khamosh aahon ki sureeli si sadayen sunkar
aakhir kitni raaton ki neend ganvaye viti intezaar mein
ki kisi din to...
dabi aawaaz mein mera naam leke bas ek baar kahogi tum ki pyaar hai mujhe bhi tumse...
dabi aawaaz mein mera naam leke bas ek baar kahogi tum ki pyaar hai mujhe bhi tumse...