phir kya aarzoo aur kya khwaishein...kya tamanna aur kya guftagu...
par afsaana-e-baavri thehra...itni aasani se kaise nipte
'noor' ki bhi khwaishein hain jinmein kahin 'viti' ka zikr nahi
chahat-e-viti rahe latakti, kya farak padta hai
sach mein, kya farak padta hai
ek aur kissa jud jayega daastaanon ki pherist mein
kuch aur log padh lenge aur muskura denge
khamosh aahon ki sureeli si sadayen sunkar
aakhir kitni raaton ki neend ganvaye viti intezaar mein
ki kisi din to...
dabi aawaaz mein mera naam leke bas ek baar kahogi tum ki pyaar hai mujhe bhi tumse...
dabi aawaaz mein mera naam leke bas ek baar kahogi tum ki pyaar hai mujhe bhi tumse...
you inspire me every single time i read you !!! awesome .. brilliant.. loved the line :
ReplyDelete"par afsaana-e-baavri thehra...itni aasani se kaise nipte"
Very nice... loved the way u have depict the feelings...
ReplyDeletebahaane aur bhi hote jo zindagi jeene ke liye, Magar maksad pura na huva tho jeene ka maaza kya..
Lovely. :)
ReplyDeletevery nice viti loved it :)
ReplyDeletekeh to doon dabi awaaz me
par ehsaas bhi na ho to
kehne se
kya farak padta hai :)
really really like it.....
ReplyDelete"chahat-e-viti rahe latakti, kya farak padta hai
sach mein, kya farak padta hai
ek aur kissa jud jayega daastaanon ki pherist mein"
thank you everyone :)
ReplyDelete@ladynimue: you inspire me too :)
@nabeel: sahi kaha, maza kya hai? ;)
@ani_aset: keh diya usne aur ehsaas bhi hai ;)
@rashi: :)
!!!!!!!!!\=
ReplyDelete